na jaane kaon sa toofan chipa liya humne dil mein
na jaane kaon sa dard daba liya humne jigar mein
laboon pur haasi liye phirte hum galiyon mein
Magar dil rota to hai.......
hum tumse kabhi kuch keh na paaye
na tum kabhi yeh samajh paaye
hum miltein hain bicherte hain
hooton pur haasi rahti hai hur waqt
Magar dil rota to hai........
log aatein hain jaatein hai
pur najaane kyon yeh gaamon ki chaaya
bus thaher si gaayi hai
kuch kabhi nazar to nahi aata
Magar dil rota to hai.......
aur kabhi mano yeh aason
chalakna chaahtein hain aankhon se
rook letein hain hum unhe aapne andar
dard bhar jaata hai sine mein
log samjhtein hain, kuch nahi
hum dard ko haasi mein ura deetein hain
Magar dil rota to hai.....
jeeven ke is safar mein
mein bus phasti hi jaa rahi hun samay ke naa jaane kis mayajaal mein
waqt badal gaya hai
saath main bhi badal gaayein hun
kaaise samjhaaon ki arth anaarth ho gaya hai
laboon pur haasi liye phirte hum galiyon mein
Magar dil rota to hai.....
0 Responses to “Magar.....”
Post your comments here